kabhi ap nay socha keh pakoray baneaiyn aur wo be jalibi ki shakl kay

waah waah

ap nay piyaaz tamater aur besin aur mirch aur namak etc sab kuch mila ker aik basin ka paste bana layna hai, jes terha ap normal pakoray banatay howay banantay hain, lakin es martaba yeh khial rakhana hai keh basin ka paste thick an ho, ziyda ghahra na ho, yaani patla ho, aur phir ap nay jalibi banay wala kapra lay ana hai, jes main daal kay jalibi banai jati hain mithai ki shop se mill jaeay ga,

us main pakoron ka basin ka paste daal kay apnay garam oil ya ghee main 8 ki shape main pakoray banay hain

lejeay pakoray tiyaar hain

dekhanay main jalibi aur khanay main taste ho ga pakoran ka

kaisa?