Real_Light has reported a post.

Reason:
report check
Post: audio quran with urdu translation in light weight
Forum: Quran
Assigned Moderators: N/A

Posted by: Real_Light
Original Content:
quran ka asan urdu tarajma
es amal ki ashad zaroorat the, keh quran moqadis ka urdu tarjuma ho jo keh aam fehm sameh e quran ko samajhnay main asani beham puhnchay. aaj kay es tarqi yaafta door main jab keh pori duniya anghothay ki nook per seer ki ja rahi hai aysay main quran kareem furqan hameed ka ordo tarjamah aik behtareen sadka e jariya hai jo keh yom e hashr tak insan ki rooh ka saath nibhata rehay ga.
waqat gozari kay leay ham mobile aur ipod walk-man mein gaanay to son letay hain, lakin kabhi apin fikr e akhrat nahi kertay. to aaj se ham apnay ap se yeh wada keun na kerain keh ham jab jab song sun rahay thay, ab har us waqat per quran sunain,
urdu tarjume ki tehriri afadiyat o ahmiyat apni jaga foqiyat rakhti hai, keh quran dekh ker pernay ka hokam bhi ahadees e nabi akram sal Allah o alhay wa aalehi wasalam main mojod hai, es kay saath saath audio quran, ya mp3 tarjuma quran apni jaga aik alug ahmiyat samaeay howay hai.
moslamano kay zawal ki aik waja yeh bhi hai keh quran kay ahkamaat ko pas e pusht rakh diya giya.
bar e saghir pak o hind main urdu ko nazr andaaz nahi kiya ja sakta hai, adaad o shomar kay motabik urdu zoban es khita main boli aur samji jati hai.
ab ap motor bike chalatay, office main break kay doran, aur kisi bhi safr kay doran mp3 quran ko samaat ker saktay hain.
arbi zoban se na'aashna afraad kay leay ordu main es ferman e ilahi ka asaan ordo main tarjma aik lazawal dolat e akhrat hai. aik aysa zaad e raah hai jo apnay taabih ko kabi bhi tanha nahi rakhay ga, zindagi ki har mushkil ho, ya kisi bhi oljhan ka hal ap quran per lain ap ko es main hal mojazati toor per mill jaeay ga. moat ka akhri waqat ho, jaankoni kay lamhaat hon, qabar ki zulmat ho, pul siraat se gozarna ho, amal ka mizaan e adal ho, ya yom e hashir ki holnaki, her lamha quran ka mojazaati asr, quran ka noor ap kay hamraah rahay ga, lakin sirf us insaan ko quran ka saya e lateef naseb ho ga, jo quran per amal keray, jo quran ka haqiqi rasta ko apni zindagi kay her shobe, apni hayat kay har hisay main jaazib ker lay.
kehna kitna asan hai, aur amal kitna mushkil, lakin us kay leay mushkil nahi hai jes nay apni hayaat ko quran kay noor sey taban o darakhsan kiya ho. aur apni zindagi kay andir amal e soleh usi waqt mumkin hai jab ham quran kay tarjumey se waqfiyat rakhain.
Allah tabarik wa ta'ala se dua hai keh ham ko quran pernay aur perhanay, quran samijnay aur samjhanay, quran sunnay aur tilawat ka sharf bakhish day. aamin