pakistan aur india kay cricket match main pakistani cricket team aik baar phir buri shikast se do chaar hoi hai, na janay keun Pakistani Team, indian cricket team kay saamanay bachon ki terha keun khail rahi the, main yakeen se keh sakta hon keh aik gali mohalay ki team pakistani team se achi kaarkardagi ka mozahara ker sakti hai. india ki cricket team kay agay Pakistan ki cricket team ki pent geeli keun ho jati hai, aik baad dosra es terha out howa jaisay pavilion end main roti jalnay ka kadsha tha? jab tak pakistan cricket board achay players ka intikhaab nahi kertay hain tab tak tmhari dastan tak na ho gi daston main aur tum khajil khowar hotay rahao gay registanon main.