Soch ka Pinjra Hai


Soch ka pinjra hai,
Aik baar hi khulta hai.

Piyar ka soda hai,
Aik baar hi tulta hai.

Yaad ka badal hai,
Be-Had barasta hai.

Piyar ka bhoka hai,
Apno ko tarasta hai.

Mouj ka darya hai,
Seene se nikelta hai.

Baraf ka tukra hai ,
jamta na pighelta hai.