Gali se Ek Larki Guzra Kerti Thi


Gali se ek larki guzra kerti thi

Uske chehre per naqaab howa kerta tha
Phir bhi us per ek larka marta tha
Shayed wo use dilo jaan se chahta tha
Woh use baar baar kehta

"Munh se naqaab hata do
Apna chaand sa mukhra dikha do
Par larki ne munh se naqaab na hataya.
Kai din beet gaye larki ko wo larka nazar na aaya
Larki kuch paryshan si rehne lagi
Kisi terhan poochte poochte woh uske ghar pahnchi.

Parosion ne kaha "Aap ko aane mein thori der ho gaye

Us deewane ko to saat roz pehle hi mout aa gai".
Parosi ne apna farz nibhaya,
Larki ko larky ki kabar tak pohnchaya,
Larki zor zor se rony lagi
Apne aansuo se kabar dhone lagi
Tabhi kabar se ek awaz aayi..

"AAY KHUDA YE KESA INQALAAB AAYA HAI
MAIN PARDAY MAIN HOON OR
MERA MEHBOOB BENAQAAB AAYA HAI"