Anjaam se waqif ho kar bhi


Anjaam se waqif ho kar bhi logon se bhala ye karta ja,

Ghabra na burai se har giz Qudrat ye ishara karti hai,

Kia is ka sila milta hai inhain phir bhi to shijar daitay hain sammar,

Phaldaar darakhaton per dunia pathar hi to maara karti hai,