Zara Thehar Jaao


Qareeb maut khari hai zaraa thehar jao
Qazaa se aankh lari hai zaraa thehar jao

Thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
bari udaas ghari hai zaraa thehar jao

Nahin ummeed ki ham aaj ki sahar dekhen
Ye raat ham pe kari hai zaraa thehar jao

Abhi na jao ke taaron kaa dil dharaktaa hai
Tamaam raat pari hai zaraa thehar jao

Phir is ke baad kabhi ham na tum ko rokenge
Labon pe saans ari hai zaraa thehar jao

Dam-e-firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh to luun
Ye faisale kii ghari hai zaraa thehar jao