Kuch Aise Log Jo Zehan Se Bhulae Nahi Jaate


Kuch Aise Log Jo Zehan Se Bhulae Nahi Jaate
Kuch Aise Lamhe Jo Dil Se Mitae Nahi Jaate

Dard Ki Chadrein Meri Ghazlon Ko Dhanp Leti Hain
Mujh Se Sheron Mein Naye Rang Dikhae Nahi Jate

Be�basi Badh Ke Meri Ankhon Mein Utar Aati Hai
Meri Hansi Se Mere Aansu Chupaae Nahi Jaate

Teri Tehreeron Se Aati Hai Tere Haathon Ki Mehak
Be�wafaa Mujh Se Tere Khat Jalae Nahi Jaate

Wafaa Ki Raahon Mein Bujhne Ke Baad Ye Jaana Hai
Sar-e-Hawa Diye Mohabbat Ke Sajae Nahi Jaate

Ay Mere Khuda Taqdeer Ko Itna To Bataya Hota
Dukhon Ke Pahaad Insano Pe Giraye Nahi Jaate