Uss k mehwar sy nikloon dunya nazar aye Saqi


Uss k mehwar sy nikloon dunya nazar aye Saqi
Har simt gham-e-hijr k toofaan hyn Saqi
Mat pooch k hum kitny pareshan hyn Saqi
Har chehra nazar aata ha tasweer ki soorat
Hum shehar k logon sy b anjaan hyn Saqi
Jis shehar-e-mohabt ne hmen loot lia ha
Uss shehar sy ab kooch k saamaan hyn Saqi
Kashti abi umid ki doobi tu nhi ha phr
Kyun teri aankhon mn ye toofaan hyn Saqi
Kar inka adabb,rakh hmen seeny sy lga kr
Ye dard ye tanhaiyaan mehmaan hyn Saqi