Main ne iss taur se chaha hai tujhe


Main ne iss taur se chaha hai tujhe akser janaa
Jaise mehtaab ko be-ant samander chahe
Jaise sooraj ki kiran seep ke dil main utre
Jaise khushboo ko hawa rang se hat ker chahe

Jaise patther k kalaije se kiran phoot-ti hai
Jaise ghunche khile mosam se hina maangte hain
Jaise khwabon main khayalon ki kamaan toot-ti hai
Jaise barish ki duaa aabla pa maangte hain

Mera her khwab mere sach ki gawahi de ga
Wusaat-e-deed ne tujh se teri khwahish ki hai
Meri sochon main kabhi dekh sarapa apna
Main ne dunya se alag teri parastish ki hai

Khwahish-e-deed ka mosam kabhi dhundla jo huwa
Noch daali hain zamanon ki naqabain main ne
Teri palkon pe uterti huee subhon ke liye
Torr daali hain sitaron ki tanabain main ne

Main ne chaha k tere husn ki gulnaar fiza
Meri ghazlon ki qataron se dehekti jye
Main ne chaha ke mere dil ke gulistan ki bahaar
Teri aankhon ke gulaabon se mehekti jye