Nigah-E-Yaar


Nigah-E-Yaar Pe Palkon Ki Gar Lagaam Na Ho
Badan Mai Door Talak Zindgi Ka Naam Na Ho

Wo Benaqaab Jo Phirta Hai Gali Kunchon Main
To Kese Sheher Main Logon Ka Qatl-E-Aam Na Ho

Muje Yaqqen Hai Duniya Mai Dard Barh Jain
Agar Ye Peeny Pilany K Ehtamam Na Hun

Bitha K Samny Bs Dekhta Rahun Usko
Usk Siwa Muje Duniya Ka Koi Kaam Na Ho

Jo Usko Dekh Lay Mahtaab Ik Nazar Mohsin
Mere Sheher Ki Galio Mai Kabhi Sham Na Ho