Teri yaadon k bina koi lamha Guzra nahi


Teri yaadon k bina koi lamha Guzra nahi
Ek pal nahi joh Tumhe hum ne pukara nahi,
Meri nakaamoyon ka itna bhi ghum na kijiye
Ager aap jeete hain " To main bhihara nahi,
Tere bin yoon kat rahi Darya-E-Zindagi mein
Kashti bhi hai "Maajhi bhi hai" kinara nahi,
Kar rakha hai jis ne saare Ghar mein ujaala
Aansu hai mera koi toota hoa Tara nahi,
Kis ko gale laga k Roye Na-muraad hum
Is bhari Dunya mein apna koi sahara nahi,
Wo aa k poonch den Aansu "Hamari Aankhon se
Itna bhi hamare haq mein "Naseeb hamara nahi,
Itna hai Bad naseeb "Dage" ka yeh jahan
Loota hai zindagi ne jise Mout ne maara nahi!