Main sunn keh uss ki sab batain

Main sunn keh uss ki sab batain
Faqat itna hi kehta hoon
Khafa hona
Mana Laina
Yeh sadion se riwayat hai
Mohabat ki illamat hia
Gilay shikwe kero mujh se
Tumhian jana ijazat hai
Mager ik baat meri bhi
Zara tum yaad rakhna
Kabhi aisa bhi hota hai
Hawain rukh badalti hian
Khizain laut aati hain
Khatain ho hi jati hain
Khata hona bhi mumkin hai
Khafa hona bhi mumkin hai
Mager yeh hamesha yaad rakhna tum
Ta'aluq rooth jane se kabhi toota nahi kerta!!!