Muhabbat tor sakti hai

koi zangeer ho
aahan ki, chandani ki, riwayat ki
muhabbat tor sakti hai
yeh aisi dhaal hai jis per
zamanay ki kisi talwaar ka sika nahi chalta
agar chasm-e-tamasha may zara si milaawat ho
yeh aaiina nahi chalta
yeh aisi aag hai jis may
badan showlon may jaltay hain to rooheiN muskurati hain
yeh woh selaab hai jis ko
dilon ki bastiyaan aawaaz day kar khud bulaati hain
yeh jub chahay kisi bhi khuwab ko taabir mil jaye
jo manzar bujh chukay hain in ko bhi tanweer mill jaye
dua jo be thikaana thi usay taaseer mill jaye
kisi rishtay may raasta poochti taqdeer mill jaye
muhabbat rok sakti hai kisi girtay sitaray ko
yeh chakna choor aaiinay ki kirchein joR sakti hai
jidhar chahein yeh baagein mor sakti hai
koi zanjeer ho us ko muhabbat tor sakti hai