Moam ki tarha phighalte huay dekha usko


Moam ki tarha phighalte huay dekha usko
Rut jo badli to badalte huay dekha usko

Wo jo kanto ko bhi narmi se chuwa karta tha
Aj phoolon ko masalte huay dekha usko

Na janay kis gham ko chupanay ki tamanna thi usay
Aj har baat pe hanste hua dekha us ko

Na janay wo duaoun mai kisay mangta hai
Hath uthtay hi sisakte huay dekha usko

Phir dua k liye hath uthhay humne
Jab muqaddar se ulajhtay huay dekha usko........ .



Sirf Chehre Ki
Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz,

Dil Ka Alam Tu Abhi Ap
Ne Dekha Hi Nahi!!!!