"BICHAR GIYE"


Jo khyal thay na qayas thya,wohi loog mujh say bichar giyea
Jo mohabatoon ki aasas thay,wohi loog mujh say bichar giye.
Jinhay manta he nahi hai dil,wohi loog hain meray hum safar
Mujhay har tarhan say jo raas thay,wohi loog mujh say bichar giye .
Mujhay lamha bhar ki rafaqatoon k ghum aur satain gain
Meri umar bhar ki jo piyas thee,wohi loog mujh say bichar giye.
Ye khayal saray hain aarzi,ye gulab saray hain kagazi
Gul-e-aarzo ki jo baas thay,wohi loog mujh say bichar giye.
Jinhay kar saka na qabool main,woh shareek-e-raah- e-safar huye
Jo maire talab meri aas thea,wohi loog mujh say bichar giye.
Maire dharkoon say kareeb thay,meri chah thya,meray khawab thea
Woh jo roz-o-shab meray pass thay wohi loog mujh say bichar giye..!