Ek ladka aur deewana ho gaya


naa poocho kee subhah thi kee din tha kee raat thi
har gali har mod har chaurahe par ye baat thi
are suno suno suno afsaana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya.
log ek doosre ko suna rahe the
suna suna kar tahake laga rahe the
kee jabse dekha hai usne us ladkee ko
kho betha hai apnee neend aur chain
rehta hai har pal vo bechain
naa lagti hai use bhookh naa lagti hai pyaas
har samay rehti hai bas usi kee aas
sabne kaha ye kissa to puraana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya.
sabne samjaaya use jaa kar le usse baat
tabhi katega din aur tabhee kategi raat
bitaa uske saath ek hansen shaam
tabhe milega tere bechain dil ko aaraam
usne bhi suna diya jaa kar haal e dil
ladkee bhi thi naadan foran gayee pighal
sabne kaha ye to ishq ka bahana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya.
kab tak chipate vo apna pyaar jamane se
ek din pata chal hee gaya bahane se
bas phir kya jo nahin hona tha ho gaya
roj roj kaa chip chip ke milna band ho gaya
ladkee ke ghar mein shaadi kee baat hone lagi
pyaar ke ujaale nein raat hone lagee
pyaar kaa dushman phir jamana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya.
ladka bola chal bhaag kar ,kar le shaadi
ladkee boli mujhe nahin chahiye aisi barbaadi
ladka bola pyaar hai phir kyon ye doori hai
ladkee boli samjha karo jaan majboori hai
marta kya naa karta maan gaya uski baat
ab to pehle se bhi bure the uske haalaat
accha uska dil kaa lagaana ho gaya
ek ladka aur deewana ho gaya.
aaj kal rehta hai vo apne mein hee gum
vo kya karega khud use hee nahin maaloom
milta hai to pareshhan hota hai
naa mile to bechain rehta hai
maaangta hai use khuda se har pal
umeedh hai bitayaga uske saath aane waala kal
ise bhi ishq kaa najraana ho gaya.