Magar khonay se darat hoon


kaha tha na
 is tarah sotay huye mat chor k jana
 mujhe besha jagga dena
 bata dena

 muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
  judai k safar mein sath meray chal nahi sakten

  tumhain rasta badalna hai
  mere had se nikalna hai
  tumhain kis baat ka dar tha
  tumhain jane nahi deta
  kahen pe qaid kar leta

  aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
  jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
  jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se

  na koi rok paya hai
  na koi rok paye ga
  tumhain kis baat ka dar tha
  mujhe beshak jagga detay
  main tum ko dekh hi leta
  tumhain koi dua deta

 kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
  tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi

  magar khonay se darat hoon
  main ab sonay se darta hoon.