Tod diya dil usne mera na jane



Tod diya dil usne mera na jane


kya soch kar

kar liya sabr hamne na jane

kya soch kar

thi na koi khata hamari
phir bhi sah liye sare sitam
hamne na jane

kya soch kar

yakeen hai hame vo bewafa to nahi
kiya usne aisa kis majboori main
na jane

kya soch kar

jo kal tak khilta gulab tha mere aashiyane ka
kar gaya veeran mere gulshan ko
jane

kya soch kar

kal tak tha jo saath mere
meri zindgi ki raho par
aaj vo chala gaya dusre kinare par
tanha mujhe chhodkar na jane

kya soch kar

kal tak jiske labo par naam tha vinod ka hamara har LAMHA
aaj vo hamare naam se nafrat karta hai
na jane

kya soch kar

kal tak jo saanse chalti nahi thi
hamare bagair
aaj vo saanse chal rahi hai
na jane

kya soch kar

kabhi jo chalte the hamara sahara lekar
aaj vo nikal pade hai raho par
manzilo ki talash main tanha
na jane

kya soch kar

chhod diya usne mujhe zindgi ki raho
main tanha
na jane

kya soch kar