~*Nazara Tuut Jaye Ga*~


Hamare dil se mat khelo khelona tuut jaye ga

Zara si thais ponche gi yeh shisha tuut jaue ga

Yahan k loog to dogaam chal k choor dete hain

Zara si dair main bharsoon k rishte toor dete hain

Khabar kiya thi k kismat ka sitara tuut jaye ga

Jo milte hain bazahir doost ban kar raazdaan ban kar

Chupe rahte hain un ki aastino main kahi khangar

Khule gi aankh to sapna suhana tuut jaye ga

Khabar kiya thi chupi hay mere daman main bhi chingari

Lage gi aag gulshan main jale gi sari phulwari

girengi bijliyaan itni nazara tuut jaye ga