"Is Rishte Ka Kya Naam Du"


Jab zamane mujhse puchata hai kya lagti thi tere woh jo rab k ghar chali gayi.

Kyon rota hai uski yaadon mein,

Kyon gumsum rehta hai,

Kyon ukhad jaata hai baaton mein,

kyon rab se dushmani karta hai....


Is rishte ka kya naam du,

na dosti hai yeh,

na mohabbat hai yeh,

na chahat hai yeh,

na dillagi hai yeh.....


bas yeh rishta jo sajda hai ek-dusare ka,

pooja hai ek dushre ki,

dua hai ek dushre ki....