Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Usay Hasney Ki Aadat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhe Us Ney Kaha Aao Nayi Dunia Basatey Hain

Usay Suji Shararat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Hameinsha Uski Aankhon Me Dhanak Say Rang Hote Thy

Ye Uski Aaam Halat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mere Kandhey Pey Sar Rakh Kar Kahein Par Kho Gayi Thi Wo

Ye Ek Waqti Inayat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhe Wo Dekh Kar Aksar Nigahein Phair Leti Thi
Ye Dar-Parda Haqiqat Thi Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha