Bata sakay ga koi kya moqam Zahra S.A ka,
Jahan Khuda hai, waheen hai qiyaam Zahra S.A ka

Gham e Hussain A.S ka Sadqa pukaar sakta hai,
Faqat Jahan main Azadar, Naam Zahra S.A ka.

Khuda kay kaam Ali A.S kar rahay hain aur en main,
Ali A.S ka haath batana hai kaam Zahra ka.

Utha kay haathon pe Abbas A.S ko Ali A.S bolay,
Wasool kejeay beta Salam Zahra S.A ka.

Ba'shakil Ayaat e Tatheer o Surah e Kousar,
Uter raha hai, Nabi S.A.W.A.W per kalaam Zahra S.A ka.

Ghazab se Ghazi A.S kay ay Hur A.S tujhe Khuda ki Qasam,
Bacha giya hai Faqat ehtaram Zahra S.A ka.

Madina, Samara, Baghdaad O Sham, Karab O Bala,
Khuda kay dayn hain yeh ehtamam Zahra S.A ka.

Yeh Soch ker he wo Sughara S.A ko ghar main chorh gaeay,
Na Aks dekh sakay shahar e Shaam Zahra S.A ka.

Wo jo Nabi S.A.W.A.W ka bohat ihtaram kertay they,
Kya un per Farz na tha, ehtaram Zahra S.A ka?

Naeem~ Turbat e Zahra S.A yeh dy rahi hai Sada,
Na Baab e Gham howa ab tak tamam Zahra S.A ka

Kalam: Naeem Abbas Naeem,