Aziz-E-Jaan


Chalo Maan Bhi Liya Ki Aankh Meri Namm Bhi Nahi
Gumaa Naa Kar Ke Mere Dil Me Koi Gham Bhi Nahi

Usse Khouf Hai Ki Manzilein Kathin Hain Bohut
Wafaa Ki Rah Mera Jo Hum Qadam Bhi Nahi

Tumhe Guroor Hai Apni Sitamgari Pe Agar
Aaye Dost Housla Jeene Ka Mujh Me Kamm Bhi Nahi

Suroor-E-Dil Bhi Wahi Hai, Aziz-E-Jaan Bhi Wahi Hai
Ke Dar-E-Zeesat Pe Ek Naam Jo Raqam Bhi Nahi

Ilm Jo Haq Ka Uthaya Hua Hai Mein Ne Abhi
Bahal Saans Hai Bazoo Mere Qalam Bhi Nahi

Hazaar Gham Hain Magar Phir Bhi Jo Salamat Hoon
Toh Kis Tarah Se Kehdoun Ki Tera Karam Bhi Nahi