~*Akele The Ham*~


Zindagi k safar main akele the hum
Aap jaisa humeen mahrban mil gaya

Tum ne bakhshi hay humeen nayi zindagi
Warna dunya main koy humara na tha
Thi andheron main bhatki huy zindagi
Aur jine ka koy sahara na tha
Tum andheron main ban kar mile roshni
Jagmagata huwa ashiyan mil gaya

Tum agar ek ishara karo ge humeen
Chand tare bichaa deen ge hum rah main
Aazma kar humeen dekh lena kabhi
Jaan de deen ge hum aap ki chaha main
Aur ab kuch KHUDA se na magain ge hum
Muskarata huwa gulstaan mil gaya

Apni kismat pe hum ko bara naaz hay
Humsafar mil gaya karwaan mil gaya
Zindagi k safar main akele the hum
Aap jesa humeen mehrban mil gaya