Toota hua dil hai her baat per rodeta hai


toota hua dil hai her baat per rodeta hai
muskarana bhi us ka kisi gham kee khabar deta hai

baat kerte hue us se ab to dar lagne laga hai
wo itna hassas hai her baat dil pe le leta hai

kisi ko chahne kee khuahish nhi us ko
her koi us ko bewafa sa lagta hai

judaiee k dar ne bohat shidat se dasa hai
wo ab mujh se milne se bhee darta hai

ye nhi hai k ab muskarate nhi us k lub
haan mager ankhon ka kinara bheega dekhaiee deta hai

ye ahsas hee qarb kee intaha ko choota hai
wo majmooie mai bhee tanha sa lagta hai

bas mai ho ager mere
us ko khushion se labrez kardoon

tanhaiee door kardoon her arzoo jawan kardoon
us k makan o dil mai apna basera karloon

aas paas mundalata her andhera door kardoon
ager meree zindagee ho faqat meree zindagee

to her lahma zindagee ka us k naam kardoon
apna haal e dil us k gosh guzar kardoon