Raat sunti rahi mai sunata raha


raat sunti rahi mai sunata raha
dard ki dastaan mai batata raha
log logoo se chahat nibhate rahe
ik wo tha mera dil jalata raha
dhoop chhaoo si us ki tabiyat rahi
wo nigahain milata churata raha

ik mai he pyasa raha dosto
log peetay rahe mai pilata raha
dil k mehmaan khanae mai ronaq rahi
koi ata raha koi jata raha
hum-maktab ne sara sabaq perh lia
mai tera naam likhta raha mitata raha