-
Aye zindagi aye zindagi
~*Aye zindagi aye zindagi *~
Aye zindagi aye zindagi
Main ne tere har moor par
Daman ghamon ka choor kar
payi hay ek taza khushi
Aye zindagi aye zindagi
Mehloon ki tapti chaaoun main
Jab dil mera dhundhla gaya
Main sokhe pate ki tara ur kar yahan a gaya
Main ne yahan dil haar k
Nagmeen sunne jab pyaar k
Taskin mujhe mil gayi
Kaise jalata main wahan joothi umedon ke diye
Sajti hain cheron par jahan
khushiyan numahish k liye
Us gham qade se bhaag kar
Aya jo main tere nagar
Bikhri thi har janib khushi
Main us chaman main a gaya
khushbo jahan dasti naheen
Insan rahty hain yahan
Sanpon ki yeh basti naheen
Mati yahan sona bane dharti yahan moti jane
Kiya khub hay janat meri
Aye zindagi aye zindagi..
WebTycoon
Tags for this Thread
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules
Bookmarks