dosron ko nasihat aur khud miyaan fasihat
daish nay muktalif mulkon mian intishar pehliya howa hai, aur daish kay naam se kon faqif nahi hai, koi bhi dehshit gerd group ko khatam kernay kay leay uski maali madad kernay walon kay dermiyan rokawat kheri kerni chaheay, ya hathiyaron ki kumak ko block ker dayna chaheay.
amrika kay akhbaar ki akhbaar ko per ker aik hayrat angeez khabir samanay aati hai, aur wo tajub khiz khabir yeh hai, keh dasih 20 mulkun se isla kharidata hai. takreeban 51 aysi compniyan hain jin ka hathiyaar farham kernay ka lain dain ha. aik gun se lay ker beray tabah kun hatiyar es khareed o farokhat main shamil hain. muhlik barood farham kernay walon mulkon main bharit aur turki shamil hain. bharat yeh barood, detonator, safety fuse barasta turki aur lobnan tak bhej dayti hain aur phir wahan se daish kay agent ya unhi hindostani compnion kay zeray se shaam main mojod daish tak punchanay main siyaah kerdar ada ker rahi hay.
wall street journal ki es tehlaka khiz report main yeh bhi shamil hai. keh es jangi saman ki farahmi main bharit ki 7 aur turk ki 13 compniyan molavis hain, aur deshat gerdi ki khilaf sab se ziyada shoor kernay waly mulk amrika ka naam bhi es fehrist main shamil hai. jo daish ko isla bhej rahi hain.
aur hamam main sab ***** kay misdaak amrika, bharit, turki, ros, cheen, barazil, iran, Belgium, Nether land aur japan, daish ko isla o barood aur jangi saman faraham kernay maia shamil hain. sharm tum ko mager ati nahi, desht gerdi kay khilaf yeh mulk kes terha dosron mulkon ko bewakof bana rahay hain aur khud en kay mulk ki compniyan hi daish ko isla faraham ker rahi hain, aur yeh mulk apnay apnay mulk main mojod en compnion kay khilaf tou koi kaarwai nahi kertay hain, aur dosray mulkon main taang zaroor aratay hain.
tariki yaafata mamalik aur aman kay sab se berhay dawa daron ki taraf se daish ki madad en ka apna monh chahara rahi hai aur en kay amal main tazad hony ki waja se yeh baad bakhobi wazih ho rahi hai keh dashatgerdi ko kon hawa day raha hai aur kon es aag ko pehla raha hai.